Sunday, January 12, 2014

Shayari Collection-----“DIL SE”

  •   Aankhein tarasti tumhe dekhne ke liye, aankhein bheeg jaati hai tumse duur hoke, dekho rooth na jaana humse nhi to ye aankhein hi band ho jayengi tumhe khafa dekh ke.

  •  Tere ehsaas se meri subah hoti hai, tere ehsaas se hi meri sham hoti hai, tu saath hai to ye zindagi - zindagi si lagti hai, jo tu saath ni to ye zindagi bhi ek avsaad lagti h.

  •  Hum hi hum hai to kya hum hai, tum hi tum ho kya tum ho, yeh zindagi rahegi to naamo-nishaan rahega, jo ye zindagi hi nhi rahegi to kya tera rahega aur kya mera rahega.
 
  •   Kabhi wo khafa the humse, kabhi hum khafa the unse, zindagi me palat kar jab bhi dekha, to deewane se lagte the kasam se. Wo choti-badi baaton pe roothna aur fir manana, aaj wohi roothne manane ko taraste hai kasam se..

  •  Aadhi raat ka waqt hai, bas chaand ka saath hai, door tak na koi shor hai na koi awaaz hai, bas tumhara hi tumhara khayal hai Aaj khwabon me nahi khayalo me tera ehsaas hai.. kya tera bhi yehi haal hai..

  •  Aaj phir dil ne unko yaad kia, aaj phir dil ne unka Khayal kia..Kuch der phir unko yaad kia, aankhon ko apni num kia..Wo beete pal aankhon ko rula dete hai, unke khayal humko tadpa dete hai, Wo chale to gaye zindagi se hamari, lekin apni yaadein chodd gaye peeche saari, Zindagi me ye to na socha tha ke aise bhi din aayenge, unke bina zindagi hogi, kya aise bhi din aayenge..!! 
    Kabhi dekha tha unko khwabon me apne saare, hosh na laga aur tuut gaye sapne saare..
    Aaj phir Dil ne unko yaad kia, aaj phir Dil ne unka Khayal kia.. Kuch der phir unko yaad kia, aankhon ko apni num kia.

  •  Woh aaye hamari galiyon me kuch iss tarah, ki kabhi hum unko dekhe to kabhi who humein…  nazrein milate- milate na jaane kab dil mil gaye, do anjane ek duje ke deewane ho gaye..

  •  Teri yaadon ke sahare mai jiya ja rha hun, kiya tha tujhse pyaar aaj bhi kiye ja rha hun.. Tu na samjhi mere wo jazbaat , karne chahe the maine izhaar karte huye tujse har ek baat. Aaj unn baaton ko yaad karke, apni mushkuraahaton me aansuo ko peeye ja rha hun.


  •  Dhadkane badha ke sanam, tum humse dhadkano ko thamne ki baat karte ho.. humari to dhadkane ab tumhare deedaar ko tarasti hai.. jaldi aakar sambhal lo inhe kyunki ab ye tumhari udhaar si lagti hai..!!

  •  Manzil ke khone ka darr na ho to safar haseen lagne lagte hain, Saath doston ka ho to faasle kam lagne lagte hain.. Yun to har safar me khushiyaan aur gum milte hain, kabhi khushiyaan kam to kabhi gum jyada milte hai.. Gamo ke milne se safar ko rukne na do, dosto ke saath ko kabhi khone na do.. Dosti to Khuda ka wo tohfa hai, jisse thukrana jannat ko thukraane ke jesa hai..

  •  Chaand ki roshni se aasman jagmaya hua tha, neend ka mujhe kuch pata na tha. Jehan me purane haseen palo ka khayal tha.. Chehre pe mushkurahat aur hasi ka ek shararti milan tha.. Yaadon me teri kuch iss tarah khoya hua sa tha , karwato ko badalne ka silsila kuch iss tarah se chal raha tha, ki subah kab hui kuch pata na tha … bas jab aankh khuli to khud ko akela sa paaya tha , na chaand tha na chaand ki roshni thi.. tere khayalo ne bhi mujhe akela chodd ke alvida keh dia tha..

  •  Ke tere didaar ki hum kbse aas lagaye baithe the.. darr tha ki kahin ye umar na nikal jaye aur hum taraste hi reh jaaye...Par aaj sun li uss Khuda ne hamari... aur nazron ko aakhir dekhne ko mil gai ek pyaari si dost hamari..

  •  Maana k hum tmhare kuch nahi lagte..phir bhi jane anjane ek dusre ko hum h jante.. kabhi aapko hamara khayal aaye ya na aaye.. hamare to aksar khayalon me hmesha aap hi aap nazar aaye.......

  •  Tu hai mere aas paas to khushnaseeb sa mehsus karta hu, teri mushkurahaton ko dekhkar apne dil ko khush karta rhta hun.. Hai teri pyaari si awaaz ka asar mujhpe itna ki apne gamo ko bhi mai hasee me bhula deta hun..

6 comments:

  1. Too good hai bhai!! All of them r touching. Keep it up!!

    ReplyDelete
  2. Bhai .. keep it up!! Bahot sari yaade taza ho gayi padhake :)

    ReplyDelete
  3. Mujhe nhi pata tha ki tum mujhse itna pyaar karte ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. maine to 12th class me hi bata diayaa tha tumhe ..

      Delete